Tu door hua hai jabse
Man bawara kyun tarse
Raahein agar yeh juda thi
Kyun sath tha ik umar se

Teri aadat jo lagi hai
Use kaise main bhulaun
Yeh kahani mere dard ki
Kisko jaake sunaun

Tu wajah hai har wajah ki
Bewajah hua main ab se
Tu wajah hai har wajah ki
Bewajah hua main ab se

Teri tadap mein waqt ka katra
Lagta hai dariya kyun mujhe
Shart bata de ya phir saza de
Hai kya raza bayan kar mujhe

Kaise juda ho jaun
Dekha tujhe hai kurbat se
Raahein agar yeh juda thi
Kyun sath tha ik umar se

Teri aadat jo lagi hai
Use kaise main bhulaun
Yeh kahani mere dard ki
Kisko jaake sunaun

Tu wajah hai har wajah ki
Bewajah hua main ab se
Tu wajah hai har wajah ki
Bewajah hua main ab se

Leave a Comment